Shirk ki 10 aam ghaltiyan jo hum roz karte hain
بِسْمِ ٱللّٰهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Allah tala ny shirk ko sb sy bara gunah krar dia hai ya aisa gunah hai
jis ki koi mafi nhi Allah talah chahy ga tu sb gunah maf kr dy ga
lakin shirk ko kabi maf nhi kry ga .
Allah quran main irshad farmata hai surat Nisa virse 48. Beshaq Allah
shirk ko maf nhi kry ga .Aj hum 10 aisi gultiyan dikhain gy jo hum
anjany main kr jaty hain.
1)Taweez aur Gande par bharosa karna
kehna es taweez sy bimari thk ho jay ge ya es sy nazar nhi lagy ge
shifa sirf Allah k hath main hai taweez sirf waseela hai yakin Allah py
hona chiya na k taweez py kuch hadees k mutabik waseela be haram
hai waseela naik logon ka jaiz hai wo b jo zinda hon na k jo dunia sy
chaly jain sahi bukhari ki hadees sy qehat k zamany main barish nhi ho
rahi the hazrat umar ap s.a.w k chacha abbas ko ly k gy dua k aya
Allah agy tery nabi ko laty thy oun k waseela sy dua krty thy tu
Barish barsa dyta tha ab wo dunia sy chaly gy hum oun k chacha
hazrat abbas ko ly kr aya hain in k waseela sy barish barsa tu tb
khoob barish hoi .
shia kutab nahjul blagah main majood hai jang e safeen k bd Hazrat
Ali a.s ny apny baty hassan ib ny Ali sy farmya ay mery baty hassan
jb b mushkil paish aya Allah ko yad krna tmhry baap ny mar kr fana
ho jana hai zinda Allah ki zaat ny hi rahna hai . Allah ki bargah wo
Bargah hai jis ny koi darban b muqara nhi kia jis k zraya tum Allah
tk ponch sako.
2) Peer, Wali ya Qabr walon se dua mangna
Kehna ya Datta hai madad , ya Gous Dyta hai madad
Dua sirf Allah sy mangi jati hai Allah quran main irshad farmmata
hai (al-momin-60) Muj sy madad mango main tmhri dua qabool krta
hn. Example : Barish barsany ki duty frishton ki hum Allah ka tu
barish frishton sy mangana shirk hai Hukam Allah ka .
3) Shagun lena - Bura fa'al
Rasty sy jaty howy billi ka rasta kaat jana or ya smjhna koi
musibat any wali hai ya shisha ka tot jana ya kawa k shat py
bolna etc nafa nuqsan ka malik sirf mera Allah hai.
4) Nazar aur Hasad se bachne ke liye kala teeka/kala dhaaga
Bachy ko kala tika lagana taky nazar na lagy nazar lagna
bar haq hai lakin es k liya aytal qursi parhain ya yakin na
rakhain k kala tika nazar lagny sy bachy ga.
5) Ghaib ka ilm kisi ke liye sabit karn
Koi peer ya faqeer ya kahy k es k sth acha ho ga ya bura hath
dikhana phr apni taqdeer ka fasla krna Gaib ka ilam sirf Allah
k pass hai surat (Al numal 65) kuch ulma k mutabik AP S.A.W
ko gaib ka ilam hai lkn haqeeqat firshton ki wahi ati the .AP SAW
ny farmaya main apni trf sy kuch nhi kahta main wahi krta hn jis ka
mujhy hukam ho or wahi janta hn jo Allah mujhy baty .
6) Qasam ghair Allah ki khana
Maa ki qasam , Bati ki Qasam , Nabi ki Qasam ,
Hadees jo gayr Ullah ki qasam khy ous ny shirk kia (termizi)
7. Rizq ko nokri, dukandar, ya hakoomat se jorna
Kahna falan ki waja sy mera rizk km ho gaya sir ny mujhy
nokri sy nikal dia tum ny mera rizza py daka dala tmhri
waja sy mery halat aisy howy
Allah quran main farmata hai :Zameen py koi aisa jandar nhi jin k rizq Allah k zima na ho sb ko rizq Allah dyta hai (hud 6)
8) Dikhawa - Riya karna
Koi b naik amal dikhlay k liya krna namaz k liya dikhlawa krna
kisi ki madad k liya dikhlawa krna koi b aisa naik amal krna jo
Allah k raza k liya na kia ho masjid banana taky log mujhy sakhi
kahin shadat dyna taky log mujhy buhdar kahin ya quran aisy
es liya parhana k log humain alim ulma kahin . Hadees main hai
qeymat py shaheed ko bulaya jay ga wo kahy ga ay Allah tery liya
main ny jaan di Allah kahy ga jhot bol raha hai jan es liya di k log
tumhy bhadar kahin. sakhi ko bulaya jay ga ay Allah main ny tera
ghar banaya masjid banai Allah farmy ga joth bol raha hai es liya
kia k log tujhy sakhi kahin .Alim kahy ga ay Allah tera din logon tk
ponchiya quran parhya allah farmy ga joth bol raha hai es liya kia k
log tujhy qari kahain alam kahin tum k tmhara ajar dunia main mill
gaya tmhri bht treef ho gai dunia main es k bd sb ko jahanum main
daal dia jay ga.
9) Jhaarr phoonk me shirk wale alfaaz
Dum krwaty wkt aisy alfaz bolna jin ka na pata ho
ya kisi gyr ullah k name py dum kia jay ya dil main b aisa tasawar
laya jay k Allah k name k ilawa kisi b name py dum hony sy shifa
mill jay ge shirk hai .
AP S.A.W ny farmaya mri ummat k 70000 log bgr hisab kitab main
jannat main jain gy wo jhar phonk nhi krwaty hn gy na oun ko koi
shaghuni (shak ya Allah k ilawa kisi per yakin) ho ge .
10. Halal ko Haram aur Haram ko Halal kehna
Apni traf sy kahna sood jaiz hai ya sharab jaiz hai
aisy kam ko jaiz kahna jis ko Allah ny hiram kia hai or
aisy kam krna jis ko Allah ny quran main or ap S.A.W. ny apny
amal sy na kia ho shirk hai esy bidat b kahty hain es sy insan
ya zahir krta hai k naooz billah k Allah ny jo kaha gult kaha
or ya zahir krna k mera amal AP S.A.W k amal sy bahter hai .
Comments
Post a Comment