Posts

Showing posts from July, 2026

Hazrat Idrees A.S ka waqia Quran or Hadees Ki Roshani Main

                                                                بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ Hazrat Idrees A.S Kaun the? HAZRAT ADREES A.S Hazrat adam a.s k pote thy. Apka asal name akhnuk tha . Allah ny apko nabowat Hikmat or ilam ki naimat sy nawaza tha .Quran main surat Maryam ayat 56 to 57 main kia hai . Waqia Mukammal Hazrat idrees A.S wo nabi thy jinho ny sb sy pahly qalam sy likhna shoro kia tha . ous sy pahly log nishan lagaty thy. apny hi sb sy pahly karahi krna hisab krna or fulqiyat or tareekh likhana shoro kia . Es liya ap ko iddress kahty hain jis ka mtlb hai bht parhany wala . Ap k 365 shagird thy har din apko nhi bat sikhaty . Dunia k liya naik kam kro akhrat k liya zakhira jama  kro .  Aik din HAZRAT IDRESS A.S ny Allah sy dua ki k mujhy mout k frishty sy mila dy . Mout ka frishta  ap ...

HAZRAT ADAM A.S KE 2 BETE: QABEEL AUR HABEEEL KA WAQIA

                                                                بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ Ya insaniyat ki zindage k pahly qatal ka  waqia hai jis sy humain zulam hasad or tuba ka sabak milta hai . 1. WAQIA KA BACKGROUND Quran: Surah Al-Ma'idah Ayat 27 Hazrat adam A.s or hazrat hawa a.s  Hazrat Adam a.s or HAZRAT Hawa a.s k har saal 2 bachy paida hoty aik larka or aik larki . Allah ka hukam tha k jo aik sth paida howy hain in ki aps main shadi nhi ki jay blky  agly saal jo bachy paida hon ous sy pahly wali jori ki shadi ki jay aps main . Hazrta Adam A.s k 4 baty thy Qabeel , Habeel , sheet , or Yafis . QURBANI KA IMTEHAN : Quran: Surah Al-Ma'idah Ayat 27-29 Qabeel sb sy bara tha habeel chota tha jo Allah ka bht farmabardar tha  . Qabeel k sth jo larki paida hoi the wo bht khubsurat the ous ka name ...

Hazrat Hawa A.S Ka Waqia | Quran, Hadees Aur Shia Kutab Ki Roshni Me

                                                                                                                        بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ Hazrat adam A.S K Bad insaniyat ki maa Hazrat Hawa A.S hain. Inhe sy dunia main orat ki chali. AKYLA PAN : QURAN SURAT BAQRA AYAT 35 Jab Allah ny hazrat Adam A.S ko jannat main dakhil kia tu wo  akyly rahny lagy oun ka dil nhi lagta tha frishton ny adam A.S  sy farmaya ap ka dil kun nhi lag raha Hazrat adam ny farmaya  main jannat main akyla hn tanha hn main kis sy bt kro kis sy dil bahlaon .  Es sy ALLAH ny orat ka mukam buland kia . Or mard k liya b sakoon orat hi hai . Hazrat HAWA A.S ki Takhleeq : Sahi bukh...

Hazrat Adam A.S Ka Waqia

                                                        بِسْمِ ٱللّٰهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ HAZRAT ADAM A.S ALLAH PAK k pahly nabi hain jis sy bani nu insan ka agaz howa es liya  Islam sb sy pahly mazhab hai jis ka agaz Hazrat adam a.s sy howa Jb ALLAH ny frishton ko  Hukam dia k main dunia main aik insan banana chahta hn to frishton ny kaha ALLAH hum tari Ibadat k liya hain insan dunia main fazad qaim kry ga ALLAH ny farmaya jo main janta hn tm nhi  janty. [Surah Baqarah: 30]  ALLAH ny sb frishton ko zameen sy matti lany ko kaha 3 frishty matti lany gy jis sy matti  ny rona shoro kr dia k tum humain na ly k jao phr hazrat izrail ko hukam dia ay izrail jaon matti ly k ao matti ny phr rona shoro kr dia lkn izrail ny kaha main ous ka hukam zaror pora kro ga jis ny mujhy hukam dia hai izrail matti lany main kamiyab ho gy es...

Shirk ki 10 aam ghaltiyan jo hum roz karte hain

                                                           بِسْمِ ٱللّٰهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ Allah tala ny shirk ko sb sy bara gunah   krar dia hai ya aisa gunah hai  jis ki koi mafi nhi Allah talah chahy ga tu sb gunah maf kr dy ga  lakin shirk ko kabi maf nhi kry ga . Allah quran main irshad farmata hai surat Nisa virse 48. Beshaq Allah  shirk ko maf nhi kry ga .Aj hum 10 aisi gultiyan dikhain gy jo hum  anjany main kr jaty hain. 1)Taweez aur Gande par bharosa karna kehna es taweez sy bimari thk ho jay ge ya es sy nazar nhi lagy ge shifa sirf Allah k hath main hai taweez sirf waseela hai yakin Allah py  hona chiya na k taweez py kuch hadees k mutabik waseela be haram  hai waseela naik logon ka jaiz hai wo b jo zinda hon na k jo dunia sy chaly jain sahi bukhari ki hadees sy qehat k zamany main baris...

Tuheed Or Shirk Main KIA Farak hai ?

                                                                بِسْمِ ٱللّٰهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ Aslamoalikum tum muslim bhiyon ko sb tareef Allah k liya hai jo adam sy lagta dunia k akhri  insan tk asman sy lagta zameen tk jb sy kainat wajood main ai hai tb sy ab tk ous ka koi sani  wo apni tareef main be misal hai agr zameen sy asman tk kalam ho or tumam sumandar siyahi  hon tu b ous ki 1 line ki b treef kr skty or meharban bakhshany wala nahat raheem hain jis ALLAH k 99 name hai lakin 1 name ki b treef ya pori kainat beyan kry tu b kam hai Ay Allah  humain sidha rasta dikha oun logon ka rasta jin py tera inam hai or oun k rasty sy door rakh jis  py tari girift hai azab hai Aya Allah hum tari hi ibadat krty hain or hum ny tari trf hi loot kr jana hai  Allah quran main irshad farmata hai kah du...

Start with the name of Allah

 Bismillah Hir Rahman Nir Raheem Har kaam ki shuruaat Allah ke naam se karna musalman ki pehchan hai. **Bismillah parhne ke 3 bade faiday:** 1.  **Barkat**: Allah har kaam me barkat ata farma deta hai 2.  **Shaitaan door**: Shaitaan us kaam se door ho jata hai 3.  **Sawab**: Har kaam ibadat ban jata hai Quran me bhi irshad hai: "Aur jab tum koi kaam shuru karo to Allah ka naam lo" Aaiye apni zindagi ko Bismillah se shuru karein.

Contact

 Koi sawal ya mashwara ho to hum se rabta karein: Email: sofiakhanofficial786@gmail.com JazakAllah Khair

About Us

 Allah Ho Akbar Ye blog Allah ki wahdaniyat aur Quran ke zikr ko aam logon tak pohchane ke liye hai. Hum yahan Quran aur Hadees ki roshni me islami maloomat share karte hain. Agar aapka koi sawal hai to Contact page par rabta karein.

Home

 Assalamualaikum! Allahhoakbar.com par khushamdeed. Ye website Quran ki roshni me "Allah Ho Akbar" ke fazail, barkat aur tareeqe samjhane ke liye banai gayi hai. Hamara maqsad: Logon tak Allah ka zikr pohchana. Naye article parhne ke liye neeche scroll karein.

Allah Ho Akbar | Quran Ke Qisse, Waqiat aur Islami Maloomat

 Allah Ho Akbar - Ye kalma tamam kalmaat me sab se azeem hai. Har Musalman din me 5 waqt isay sunta aur kehta hai. Lekin kya aap jante hain ke Quran me Allah Ho Akbar ka tasawwur kis tarah aya hai? Quran Me Allah Ho Akbar Ka Mafhoom Quran me lafz "Akbar" bohot martaba aya hai. Allah Ta'ala farmate hain: "Inna Salata Tanha Anil Fahsha I Wal Munkar, Wa La Zikrullahi Akbar" Tarjuma: "Beshak Namaz behayai aur buri baaton se rokti hai, aur Allah ka zikr sab se bara hai." [Surah Ankabut 29:45] Yahan "Zikrullahi Akbar" se murad yehi hai ke Allah ko Akbar kehna aur usay yaad karna sab se afzal ibadat hai. Allah Ho Akbar Kehne ke 5 Fazail 1. Dil ka sakoon: Allah ka zikr dilon ko itminan deta hai [Surah Raad 13:28] 2. Gunahon ki maghfirat: Jo shakhs 100 baar Allah Ho Akbar kahe uske gunah maaf hote hain 3. Jannat me darja buland hota hai 4. Har kaam me barkat: Kaam shuru karne se pehle Allah Ho Akbar kehna sunnat hai 5. Shaitan door bhagta hai Kab ...