Hazrat Sulaiman A.S aur Malika Bilqees Ka Waqia | Hudhud Ka Khat aur Takht Ka Mojza - Quran Ki Roshni Mein

                                                                ﷽ 



Hazrat sulaiman A.S baitul muqaddas plastine main hui. Ya waqia 

1030 qabal maseeh ka hai . 

Quran main saaf farmaya .

وَوَهَبْنَا لِدَاوُودَ سُلَيْمَانَ ۚ نِعْمَ الْعَبْدُ ۖ إِنَّهُ أَوَّابٌ

"Our Hum ny dawood ko sulaiman ata kiya . Kia hi acha banda tha wo rajoo krny wala tha" Surah Saad:30

Choty thy tabhi bohat samjdar thay. Ek waqia main 2 ourton ka jhagra aya . Hazrat dawood A.S ny fasla 

kia lakin choty sulaiman ny bahter fasla kia . Allah ko wo fasla zyada pasand aya . sahi bukhari ,Muslim

"Allah ny onhy bachpan sy hi ilam atta farmaya or yahi illam oun k liya taqat ka baas bana "

Hazrat dawood A.S ki jab wafat hoi tu sulaiman a.s 12 ya 13 saal k thy . Ous din Allah ny onhy nabowat 

or badshaht dono atta farmai . 

Suleman dawood k waris hovy . Or kaha aya logo humain prindon ki boli sikhai gai .Surah Namal:16

HAZRAT SULAIMAAN A.S :

Hazrat sulaiman A.s ko Allah ny insano , prindon , jino per hakumat atta ki . Yahan tk k

Hawa b oun k tabah thi. Hood hud A.s ka aik khas ghulam prinda jo k prindon ka cheef

justice smajh lyn (C.E.O) . Wo subha ki meeting main nhi aya . Hazrat sulaiman ny kaha

agr hud hud ny na any ki koi waja ya justification na di tu main hud hud ka sar kalam kr 

donga . Hazrat sulaiman A.S badshah hony k sth bht discipline waly b thy . 

Hud hud ny Hazrat sulaiman sy kaha main ap k liya asi baat laya hn jo apky ilam main b nhi

hai . Dakhain Allah ka nabi ho wali ho sahabi ho janta wahi hai jo Allah ous ko ilam dy .

Hud hud ny kaha main aik aisi malkqa ko janta hn jo Allah ko chor kr sooraj ki poja krti 

hai . 

TAKHT KA MOJZA - PALAK JHAKATNE SE PEHLE :

Hazrat sulaimaan  ny khat likh k aya malkqa , shirk ko chood duo aisy khuda ki ibadat kro

jo hum sab ka malik hai . Warna hum tum py hamla kr dyn gy or phr tum humara muqabla

nr kr sako gi . quran main sirf malka ka ziker hai by name nhi lkn bani israil rawayat k 

mutabik ous ka name belqees tha jis sy aj b kuch christian bilqees rakhty hain.

Malka Belqees ny apny sathiyon k sth meeting ki or aik khat likh ap na ayain main khud

ap k pass ati hn . wo takhat 100 chora or 50 futt lamba tha .

malka jb Hazrat SULAIMAN A.S sy milny ko aya rahi the . Tb hazrat Sulaiman A.S ny 

bathy apny sb ghulamon wazeeron sy jino sy kaha k kon hai jo malka  k any sy pahly

ous k takhat mujhy la kr dy . 

Wahan aik Allah ka naik banda batha tha ous ny kaha main apki ankhain band ho kr khulny

sy pahly takhat la sakta hn . Aisa hi howa pal bhar main takhat ly aya . Yahan tareef Krni 

chiya the Hazrat Sulaiman ko ous ki aj kal k logon k mutabik . Jb K Hazrat sulaiman ny 

Allah ki tuheed beyan ki or kaha ya tera kamal nhi hai ya mery Allah ka fazal hai.

Allah mujhy azma raha tha k main shukar krta hn k nhi , Yahan shukar ka mtlb Allah

ki tuheed beyan krna hai na k wahan bathy ki jo smjh raha tha takhat mri waja sy aya .

SHEESHE KA FARSH AUR BILQEES KA IMAAN

Jab malka belqees darbar main aye or ous sy poucha gaya kia tera takhat aisa hi hai .

Us ne dekha aur kaha: "Goya ye wahi hai. Aur humein pehle hi ilm de diya gaya tha
 
aur hum farmanbardar ho gaye" - Namal:42

Phr ousy kaha gaya mehal main dakhil ho jao . Mehal ka farash shisha ka tha or ous main 

ghara pani bah raha tha . Belqees ny samjha pani hai tu apna qadam oper outha lia .

 "Hazrat sulaiman ny btaya ya shisha hai jis k oper pani ki lahar banai gai hai "quran

Ya qudrat or Hikmat dakh kr balqees ka dil badal gaya ous ny kaha .

"Aya mery rab main ny apni jan py zulam kia ab main sulaiman k sth ho gai or tari hamad 

krti hon . SURAT namal .44*

IS WAQIA KE 4 AZEEM SABAK :

Ilam ki kitab wala jin sy b taiz nikla lkn tuheed sirf Allah ki

Belqees ny jazbati fasla nhi lia haq ko tasleem kia or Apni islah ki 

SB Takat Allah ki humain Allah ka shukar ada krna chiya na k ous ka shareek bana lyna 

Hazrat sulaiman A.s ny taqat milny per b garoor nhi kia sajda kia 

Daleel dakhty hi Belqees ny foran emaan kamzor kia

Haq ko pahchana or apny waldain ka mazhab tk chor dia 


https://allahhoakbarofficial.blogspot.com/

Site ko follow krain or subcribe krain taky mazeed aisy simple wording artical 

ap k liya ly kr ayain or comment main apni ray dain .

ALLAH humain zindage dy or Tuheed py chalna sikhay .









Comments

Popular posts from this blog

Shirk ki 10 aam ghaltiyan jo hum roz karte hain

Hazrat Ibrahim A.S Ka Waqia Quran ,Hadees , Or Shia Kutab ki Roshani Main

HAZRAT ALI A.S BEAUTIFUL QUOTES AUR AKWAL