Depression Ka Islamic Hal | Quran Aur Sunnat Se | Ghabrahat Aur Bechaini Khatam Karne Ke 7 Raaz
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Kia ap ko Raat ko niend nhi ati Dil ghabrata hai ? Lagta hai sab khatam ho gaya ?
Ruk jayen . Ap Akly Nhi hai .
Dunia ki sab sy bari company ki C.E.O be depression ka Shakar hai . Lakin momin ka ilaaj alag hai ,
Allah farmata Hai Allah k ziker sy hi dilon ko chain milta Hai . Aj hum 1400 saal porany amal sy es
bimari ka ilaj karain gy quran say , or Ap S.A.W ki sunnat sy , ( Allah HO AKBAR )
Bimari bari nhi sirf Allah he sab sy bara hai .
DEPRESSION KI 3 BARI WAJAH QURAN KI NAZAR ME
Allah quran main farmata hai agr na shukri kro gy tu mera azaab sakht hai , Aj tk zyada tar muslim ko
Yahi nhi pata k shukar kisy kahty hain asaan lafzon main Allah ki ibadat krna ALLAH ki tareef krna
Shukar hai . Or dunia ki khawahish main mubtala ho jana Allah ko bhool jana ya nazar andaaz karna
na shukri hai , jis sy insan k qalab ko rohani sakon nhi milta , insan apny asal maqsad ko jab bhool jata
hai . or jhoti khawahison main mubtala ho jata hai . Jis sy ousy lagta hai ous ki zindage kam hai
khawahishan zyada hain , ousy lagta hai pal phar main sb kuch khatam ho jay ga , Esi dar ki bunyad per
wo so nhi pata niend nhi ati , depression main zyada ter jawan nasal mubtala hain , jo Mout ko naimat
nhi zahmat smjhaty hain , jo wo kr rahy hain wo sahi smjhty hain . (ALLAH HO AKBAR )
Ap S.A.W ny farmaya mount momin k liya naimat hai . Kun k jo khud ko Allah sy jorta hai . Wo kabi
kisi cheez sy nhi darta sirf Allah sy darta hai , or ous ko kabi nhi lagta wo mary ga , kun k marny k bad
b nai zindage hai mout ka mtlb ya nhi k insan ka wajood khatam ho gaya ya nazariya islamic nhi hai
mout ka mtlb hai nai zindage k liya agy barhana . (ALLAH HO AKBAR)
MOUT KIA HAI :
BHT ULAMA ES BAAT KO BEYAN KRTY HAIN , K aik shakhs Hazrat Ali A.S k pass aya ous ny
sawal kia mout kia Hai ALI A.S ny irshad farmaya mout zindage hai , Jab bacha maa k pait main hota
hai aik zindage jee raha hota hai , jab bahir ata hai tu rota hai kun k ousy lagta hai wo mar gaya , lkn
asal main wo apni agli zindage k liya barh raha hai , esi tarha jb insan dunia main marta hai , tu log roty
hain , onhy lagta hai k wo mar gaya hai , asal main wo mara nhi apni agli zindage ki trf ja raha hai , jis
k bad ousy kabi mout nhi aya ge , Allah quran main farmata hai , har jandar ny mout ka zaiqa chakhna
hai , zaiqa word py gor kia jay zaika kisi b cheez ka ho limited hota hai , or sirf zaiqa chakhna hai ,
zaika chakh k agli life , shukar krny waly k liya zaika umda or na shukari krny waly k liya zaika karwa.
Es main zaika sy murad mout ki sakhti hai ya mout ka ajar ya insan k amaal per munhasar krta hai .
QURAN SE 7 ILAJ - STEP BY STEP :
1 . FAJAR KI NAMAZ + QURAN
Fajar k waqat quran parhana gawahi diya jata hai , Allah ko yad krny ki gawahi , Shukar krny ki gawahi
or frishty ous k muhafiz hoty hain , Fajar ki namaz k baad surat yousaf parhain Gum door ho ga .
2 . ASTAGHFAR - 100 BAR
Astaghfar karna b shukar karna hi hai , Allah farmata hai mujhy sb sy acha amal insan ka toba krna hai .
Jis sy insan Allah k qareeb ho jata hai , har namaz k baad insan ko 100 bar Allah sy astaghfar krna chiya.
3 . DUA-E-YOUNUS A.S
Younas A.S Machli k pait main thy , ya dua parhi tu Allah ny nikal diya , La ilaha illa Anta Subhanaka
inni kuntu minaz zalimeen , Allah farmata hai agr younas humain aisy na pokarty tu ous din nikaly jaty
jb murdy qabron sy nikaly jain gy . es dua ka tarjuma hai k Aya Allah main tu zalim hon gulti kr skta hn
tu mujhy maaf kr dy .
4 . SURAH INSHIRAH 7 BAR
Allah Quran main irshaad farmata hai Izt or zillat Allah k Hath main hai , or har mushkil k sth asani
hai . Depression ka mareez roz saat bar ya parh k pani py phook mar k piya . (ALLAH HO AKBAR )
5. SADQA
Sadqa dyna sunnat hai , Hadees main hai sadqa har bimari ka ilaaj sy mout k siwa , Hazrat Ali A.S ka
Akwal hai agr tmhri jaan ko khatra hai tu sadqa dy k jaan bachao , agr emaan ko khatra hai tu jaan dy
kar emaan bachao .
6. ZIKR: HASBUNALLAH
Hasbunallahu Wa Nimal Wakeel Aal-e-Imran 3:173
Jab Hazrat Ibrahim A.s ko Aag main dala gaya tu apny kaha bahtreen mera Allah bahtreen kar saaz hai .
Hadees main hai jo ya mushkil main parhata hai Allah ous ki mushkil Asaan kar dyta hai .
7. LOGON KI KHIDMAT
Nice bhai
ReplyDeleteBut achi post gai depression ka ilaaj hai
ReplyDelete