Depression Me Neend Na Aana - Quran, Sunnat Aur Doctor Ka Ilaj

 Depression Aur Neend  (Depression & Sleep Problem )

Depretion or niend ka rishta bohat gahra hai . Jab banda oudas hota hai tu niend nhi ati jab neend nhi ati tu depression or barh jata hai . Kabi kabhar agr koi mali masla ho ghar k halat thk nhi lagty , insan k sehan main mukhtlif khayal aty hain , jis sy depression ho jata hai agr depression ho tu wo agy sy or barh jata hai . Aj hum quran sunnat or science ki roshani main maslay ka hal dakhain gy .

Problem samjhein (Understand Problem )

Doctor kahty hain depression main demag ke chemicals  "Serotonin" aur "Melatonin" kharab ho jaty hain . jis ki waja sy insan bister per raat bhar krwatan badalta rahta hai , insan apny khayalon main khoya rahta hai , or ghari main souch main doob jata hai . Ousy ya b nhi pata hota k pass koi hai ya nhi es k attack zyada ter raat time hota hai . din ko kun nhi hota din ko insan apny doston family main busy rahta hai wkt guzar jata hai , raat ko insan tanha hota hai.Jis ki waja sy ajeeb khayal aty hain ousy or wo so nhi pata . ya kamzori nhi aik bimari hai.

Islam ka nazariya ( Islamic Point of view )  

Islam main niend ko Allah ki nishani beyan kiya gaya hai , Hum ny raat ko banaya taky insan aram kary or tum bht kam  shukar ada krty ho . Agr niend kharab hai tu insan ka dil bachain hai . 

Wajah  - Waswase ( Reason )

Rat ko tanhai main sheetan k waswase sab sy zyada aty hain . Guzara howa kal , Mustakbil ka dar logon ki batain , Ya sab souchany sy demag band nhi hota . Hadees main hai momin wo nhi jis ki mafil pak hai , Momin wo hai jis ki tanhai pak hai .

Wajah - Gunah ka bojh ( Burdan of Sin )

Jab insan apni zindage main gunahon main mubtala rahta hai Allah ko yad nhi krta or apni zindage ka maqsad bhool jata hai . Insan apny gunahon k boj k sth so nhi pata . Allah farmata hai mri yad sy hi dil sakoon main rahty hain . Agr insan ka dil sakoon main hai tu pora jism sakoon main hai . Dil main gunhaon ka bhooj ho tu niend main sakoon nhi ata . Gunah karny k baad din ko niend nhi ati . Humain har roz tuba kr k sona chiya .

 Islamic Hal  - Wazu aur 2 Nafil ( Islamic Solution )

Sony sy pahly wazu karain 2 nafal salat ul Hajjat parhain . Nabi S.A.W zony sy pahly wazu kr k hi soty thy .Jism saaf ho tu rooh ko b sakoon milta hai . 

 Islamic Hal  - Sone ki Dua ( Prayer Of Saleep )

بِاسْمِكَ اللَّهُمَّ أَمُوتُ وَأَحْيَا " Allah k name sy main marta hn or jeeta hn " Ya dua parhany sy dil ko tasali hoti hai k mri jan Allah k spurd hai . Allah k siwa koi nhi nuqsan poncha skta , or Allah k siwa koi bacha nhi skta . ous ny zindage or mout ko paida kia taky humari azmish ho saky . 

 Ayat-ul-Kursi + 3 Qul

Sony sy pahly 1 bar ayat ul kursi parhana , 3 kul parhana ya pani main dum kr k pee jana ya apny jism per phonk mar dyna insan Allah ki hifazat main aya jata hai . Frishty ous ki hifazat krty hain . Need k frishty muqarar ho jaty hain . 

 Islamic Hal  - Tasbeeh Fatima ( Prayer Of Hazrat Fatmia A.S )

Hazrat Fatima R.A ny nabi kareem S.A.W sy kamzori ki shikayat ki to apny farmaya 33 bar subhanallah , 33 alhamdullilah , or 34 baar ALLAH hu akbar parh lia kro , ya jis ki thakawat or dil ko sakoon dyta hai . Ya jism ki thakawat or dil ko sakoon dono dyta hai . 

Doctor ka Hal - Routine 

Doctor kahty hain rooz same time per soyain or outhain , Raat 11 bajy sy pahly sony ki koshish krain . Din main 20 mint ki dhoop Lain . Es Melatonin thk hota hai .

Doctor ka Hal  - Mobile Band

Sony say aik ghanta pahly laptop , mobile Tv , band . Blue light demag ko din ka signal dati hai . Es sy niend wali hormoon nhi banti . 

Doctor ka Hal  - Garam Doodh ya Khajoor

Sony sy pahly 1 glass garam dodh ya 1 khajoor , Nabi S.A.W be sony say pahly dodh peety thy . Es main Tryptophan hota hai jo niend lata hai . 

Doctor ka Hal - Therapy

Agr 2 hafty sy zyada niend nhi arahi tu Psychiatrist doctor sy milna zarori hai . C.B.T I therapy niend k liya sab sy best hai . Dawai sirf doctor k mutabik lain . 

Galti jo hum karte hain

Bister per late kr phone scrol krna , kal ki fiker karna , coffee peena , ya 3 kam niend ko bilkul  khatam kr daty hain , in sy bachain . 

Quranic Ayat for Peace

Jo log emaan laya Allah k ziker sy oun k dil ko sakon milta hai .Har raaat sony sy pahly Allah ka ziker krain . 

Nabi S.A.W ki Sunnat ( Way of Prophet Muhammad ( P.B.U.H )

Nabi S.A.W dayan taraf krwat ly kr hath gaal k nitchy rakh k soty thy . Aur sony sy pahly apny gunahon ki mafi mangaty thy . Halka dil = Ghari niend result 101 % postive . 

Conclusion + Message

Yad rakhain niend na ana Allah ki narazge nhi . Ye aik imtahaan hai . Dua , dawai discipline or ilaaj . Agr khudkhusi ka khayal aya to foran doctor sy rabta krain . Allah k liya kuch mushkil nhi beshaq har mushkil k sth asani hai . 

Any Problem 

Agr mery bhai behan kisi ko koi issue hai tu wo mazeed detail nitchy diya gy link sy parh skta hai . Or agr koi masla ho tu hum sy rabta kr skta hai ya apni problem ka izhar comment k through kr skta hai .

https://allahhoakbarofficial.blogspot.com/

https://allahhoakbarofficial.blogspot.com/2026/08/depression-ka-islamic-hal-quran-aur.html







Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Depression Ka Islamic Hal | Quran Aur Sunnat Se | Ghabrahat Aur Bechaini Khatam Karne Ke 7 Raaz

Shirk ki 10 aam ghaltiyan jo hum roz karte hain