Wazifa For Rizq: 3 Din Ka Amal Jo Gareebi Door Karta Hai
Rizzaq Allah k hath main hain lkn Allah ny humain dua sy mangany or wazifay ka rasta b bataya hai . Agr ap Karz ya tangdasti main hain tu ya 3 amal zaror krain .
Quran ka Wada : " Zameen per jitny b jandar hain oun ka rizzaq Allah k zimay hai " Es liya sb sy pahly yakin rakhain yakin kay bina koi b amal asar nhi krta .
Nabi SAW ki Sunnat: " Nabi kareem S.A.W tangdasti main ya dua kasrat sy parhaty Allahumma inni as'aluka 'ilman naafi'an, wa rizqan tayyiban, wa 'amalan mutaqabbala "
3 DIN KA AMAL - DIN 1 : " Fajar ki namaz k bad 100 dafa astagfhar parain Es sy rizzaq ka darwazy khulty hain "
Quran ki Daleel: " Apny rab sy barish mango , wo barish bhajy ga or maal sy madad kary ga " Sahi bukhari main hadees hai "Hazrat Umar R.A k door khilafat main qahat agaya Ap ap s.a.w k chacha Hazrat abbas ko ly gy dua ki Ay Allah pahly pehal tary Nabi zinda thy oun k waseela sy dua karty thy tu barish nazil kr dyta tha aj hum oun k chacha ko ly kr aya hain , En k waseela sy barish nazil farma , tu sahaba kahty hain barish khoob barsi , kisi naik zinda hasti ka waseela sy dua mangi jay koi b tu zaror qabool hoti hai .
DIN 1 - Shaam ka Amal : " Magrib kay bad 11 dafa surat waqia parhain . Ya surat faqy sy bachati hai " Hadees main hai jo shakhs har raat sorat waqia parhy ousy kabhi faqah nhi ho ga .
3 DIN KA AMAL - DIN 2 : " Fajar ki namaz k bad 313 bar ya razzaq-u ya wahhab-u parhain " tasbhi per ginti kar lyn . Allah k 2 name Razzaq rizzaq dyny wala , ya wahhab bht zyada dyny wala .
DIN 2 - Dopahar ka Amal : Zohare k bad 100 dafa La hawla wa la quwwata illa billah parhein . Ye khazana hai .
3 DIN KA AMAL - DIN 3 : Fajar k bad 41 bar surat ikhlas parhain or Allah sy rizzaq ki dua mangain .
DIN 3 - Raat ka Aakhri Amal : Isha k bad 2 nafal salat ul hajjat parhain , sajjdy main ya dua sth 7 bar mangain . Ya Hayyu Ya Qayyumu bi rahmatika astaghees .
Quran se 4th Point: Wa ar rizqa ka wa anta khairur raaziqeen [Surah Maida: 114] , Es ayat ko har namaz k bad 7 bar parhana shoro kr dyn .
Sunnat ka 5th Point: Ghar main dakhil hoty islam karain or surat fateh parhain , Rizzaq main barkat hoti hai .
3 Zaroori Baatein: Halal kamain , waldain ki khidmat krain , or sadqa krain , in k baghair wazifay adhoray hain .
Niyyat saaf rakhein: Ya amal Allah ko razi karany k liya karain , Dikhawa na ho .
Akhari Dua : Aya ALLAH mujhy halal sy kafi kar dy haram sy bacha lay ur apny fazal sy ghani kr dy . inshallah 3 din main asraat nazar ayain gy . yakeen or sabar sb sy bara aqeeda hai . Allah sab ki mushkil asaan farmay ameen . Yakeen or dua 2 asi cheezain hain jo nazar nhi ati lkn na mumkin ko mumkin kar dati hain .
https://allahhoakbarofficial.blogspot.com/
https://allahhoakbarofficial.blogspot.com/2026/08/depression-me-neend-na-aana-quran.html

Comments
Post a Comment