HAZRAT NOH A.S KA WAQIA QURAN SUNNAT KI ROSHANI MAIN
بِسْمِ ٱللّٰهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Wiladat aur Naam :
Noh bin lamek bin Matushalak A.S . Inhy shiekh ul ambiya b kaha jata hai jis ka mtlb hai
Ambiya k bazurg jis ka mtlb sb sy bary nabi . In ki wiladat Hazart Adam A.S k 1000 saal
Iraq k ilaky main Hoi . Bachpan sy hi bohat ibadat Guzar or suchy thy .
950 Saal ki Mehnat :
Allah ny Rasool bana kar bhaja
950 saal tk logon ko Allah k deen ki dawat di
Kahty thy tum humary jaisy insan ho sirf 80 bandy emaan ly kr aya
Tanuer sy pani ubalny laga surat hud 11:40
Har janwar ko jora + emaan waly kashti main bath gay.
Jab qoum shirk main Mubtala ho gai or buton wadd, suwa, Yaghuth, Yauq , buton ki poja krny lagi to
Allah ny Hazrat NOH A.S ko nabi bana kr bhaja . Quran : Hum ny noh ko oun ki qoum ki trf bhaja
to wo oun main 950 saal rahy .950 saal main sy 50 saal kam kiya gy hain es liya ullama kahty hain k
onho ny 950 saal takleef outhai . rawayaat k mutabik kuch k nazdeek oun ki umar 971 saal the kuch k
nazdeek 1000 sal k qareeb.
Kashti Banana Ka Hukum :
Jab qoum had sy guzarny lagi tu ALLAH ny Hazrat Noh A.S ki taraf Wahi ki . Quran : Allah ny
NOH A.S ko hukam dia humari nigrani main kashti banao, Hazrat jibrail A.S ny Hazrat NOH A.S
ki kashti banany main madad ki . Hazrat Noh A.S jb kashti bananty log hansty mazaq ouraty onhy
dewana kahty kun k wahan koi dariya koi sumandar or kahin pani ka zakhira nhi tha .Or kahty Noh
ya kashti kahan chalao gy .
Hazrat Noh A.S NY 100 saal main lakri ki kashti bana li . Yad rahy Hazrat jibrail A.S Ny es main noh ki
madad ki . kashti aik din main ban skti the lkn Allah onhy mohlat dy raha tha . Qoum mazak ourati
Barhai ho kr kashti banaty ho pani kahan hai .Onho ny jawab dia aj tum mazaq oura rahy ho kal hum
Mazaq ourain gy .
Tufaan Ka Aaghaz :
Jab Allah k azab ka wkt aya tu nishani ya the , Tanour oubalny laga
Quran: Yahan tk k jab humara hukam agaya tu tanur ubalny laga , surah hud 11:30
Tanur sy pani k Chasmy phoor pary . Asmaan k darwazy khul gy musalsal 40 din tk barish hoi .
HAZRAT NOH A.S ny har janwar ka 1-1 jora kashti main sawar kia or jo iman ly kr aya onhy b kashi
Main Sawar kia.
Bete Ka Waqia - Sab se bara imtehan :
Pani bulandi py tha hazrat Noh A.S ny apny baty kaan ko awaz di .
Quran: Aya mery baty humary sth sawar ho ja or kafiron main na rah .surah hud 11:42
Baty ny Ghumand main aya k kaha nhi main pahar ki bulandi py chala jaon ga jo pani sy mujhy bacha
lay ga. Hazrat Noh A.S ny kaha aj Allah k hukam sy koi bachny wala nhi . jab tofan pahar ki choti tk
aya tu kaan ny kaha aba g mera hath pakar lo . Allah ny kaha noh esy b aj dobany duo ya hum main sy
nhi hai .Aur wo lehar main doob gaya .
Ya sabak hai rishta nhi emaan kam ata hai , beshaq oulad nabi ki b ho .Allah k nazdeek rishton ki koi
ahmiyat nhi . sirf taqwa or perhaz gari . AP S.A.W ny farmaya kisi insan ko dosry insan py koi bartari
hasil nhi sirf taqwa ki bunyad py . ( ALLAH HO AKBAR )
Tufaan ka Khatam aur Nayi Zindagi :
6 mahiny bad pani outar gaya kashti jodi pahar k sth ja lagi .
Quran : Allah ny hukam dia aya zameen apna pani nigal ly aya asmaan band ho ja surah hud 11:44
Zameen per dobara zindage shoro hoi . Jo log kashti main thy oun ki nasal sy dunia dobara abaad hoi .
Wafat :
Tofan k bad Hazrat noh A.S ny bht arsa logon ko deen sikhaya Allah ki tuheed beyan ki.
Wafat k bad apko makkah ya najaf main dafan kia gaya Allah bahter janta hai.
NABIYON KA IMTAHAN :
Allah ny apny bohat nabiyon ka oun ki olad k zraya imtahan lia . Kun k sab sy zyada insan apni olad
sy muhabbat krta hai . Hazrat ibrahim ka imtahan ismail sy . Hazrat yaqoob ka imtahn binyameen or
yousaf sy . Hazrat nooh A.S ka imtahan apny baty kaan sy .OR Ap s.a.w ka imtahan ahlybait sy k zraya
Lkn sb nabiyon ny Allah k hukam ki attat ki . or tuheed ka parcham buland kia es main sabak hai .
K Allah k nazdeek tuheed sy barh k kuch nhi . Oulad b nahi Har nabi ny Allah ki muhabbat ko pahly
rakha es liya quran ny oun ka name qeyamat tk buland kr dia .
Sab Nabiyon ka waqia janany k liya humari site py click krain
or apna topic humain batain ap ko es k bary main bataya jay
link nitchy dia hai or apni ray comment main dayain .
https://allahhoakbarofficial.blogspot.com/
https://allahhoakbarofficial.blogspot.com/2026/08/hazrat-ibrahim-as-ka-waqia-quran-hadees.html
Comments
Post a Comment