Hazrat Hawa A.S Ka Waqia | Quran, Hadees Aur Shia Kutab Ki Roshni Me
بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Hazrat adam A.S K Bad insaniyat ki maa Hazrat Hawa A.S hain. Inhe sy dunia main orat ki chali.
AKYLA PAN : QURAN SURAT BAQRA AYAT 35
Jab Allah ny hazrat Adam A.S ko jannat main dakhil kia tu wo
akyly rahny lagy oun ka dil nhi lagta tha frishton ny adam A.S
sy farmaya ap ka dil kun nhi lag raha Hazrat adam ny farmaya
main jannat main akyla hn tanha hn main kis sy bt kro kis sy dil
bahlaon . Es sy ALLAH ny orat ka mukam buland kia . Or mard
k liya b sakoon orat hi hai .
Hazrat HAWA A.S ki Takhleeq :
Sahi bukhari Hadees no 3331, Sahi Muslim 1468,
Ap S.a.w ny irshaad farmaya ourat ko mard ki pasli sy paida
kia gaya hai es ko seedha krny ki koshish kro gy tu ya tot jaygi.
Es liya orat k sth narmi sy paish ao.
Tafseel :
ALLAH Pak ny hazrat adam a.s ko ghari neend main sula dia
or Hazrat Hawa ko adam a.s ki pasli sy paida kia. jab Adam ki
ankh khuli tu sth khubsurat ourat the ADAM A.S ny poucha ya
kon tu Allah ny farmaya tmhri biwi .
Shia kutab Bahar ul anwar : Es main majood hai k Allah ny
Hazrat hawa ko adam ki baeen side sy pasli sy paida kia jo
his dil k qareeb hota hai jis sy orat ko humaisha dil k nazdeek
rakhna chiya or dono ka jism b aik hi jism hai es liya ALLAH
Quran main irshad farmata hai Miyan biwi aik dosry k libaas
hain . Libaas jism ko protect krta hai hifazat krta hai or bataya
ourat ki hifazat mard ki zimandari hai ous ka farz hai.
SHAITAN KA DOOSRA WAR :
Surat Araf ayat 19-22 : ALLAH ny irshad farmaya ab tum
dono jannat main raho es drakhat k kareeb na jana beshaq
sheetan tmhara khula dushman hai . Sheetan ny aya k kaha
es darkhat ka phal kha lo taky tum dono frishty ban jao ya ho
skta hai tmhy kabi moot na aya our qasam kha k kaha main
tmhara khair khawa hn es liya humain kabhi jhoti qasam nhi
khani chiya or kasm humaisha suchi khani chiya or Allah k
siwa kisi ki kasam nhi khani chiya . Hazrat Hawa k mijaz main
fitrat main narmi the es liya sheetan ny pahly hawa ko behkaya
phr Hawa ny hazrat adam ko tu dono ny phal kha lia .
Moral : Humain humaisha Allah ka hukam manana chiya
husband wife aik pak muqadas rishta hai es rishty ko nibhain
lkn agr es rishta main koi asi bt ho jis main Allah ka hukam
shamil na ho tu humain es k khilaf hona chiya Allah sy bary
k kisi ka hukam nhi na kisi ka fasla hai.
PHAL KHANE KE BAAD AUR ZAMEEN PAR AANA :
Jaisy hi phal khaya oun k jism k kapry outar gay or wo jannat
k kapron sy apna jism dhampany lag gy.
Quran: Surah Taha Ayat 121-123 : Allah ny kaha adam kia
main ny tumhy mana nhi kia tha k sheetan tmhara khula
dushman hai. Ab tumhy zameen tk kuch arsa rahna ho ga or
faida outhana ho ga .
Shia Riwayat: Bihar-ul-Anwar : ES main hai phr adam A.S
ko india main outara gaya or hawa ko jaddah main dono 300
saal tk juda rahy toba krty rahy dono toba krty rahy phr in ki
mulaqat arfat main hoi es liya ousy midan arfan kahty hain jis
ka mtlb hai pahchan.
Comments
Post a Comment