Allah Ho Akbar | Quran Ke Qisse, Waqiat aur Islami Maloomat
Allah Ho Akbar - Ye kalma tamam kalmaat me sab se azeem hai. Har Musalman din me 5 waqt isay sunta aur kehta hai. Lekin kya aap jante hain ke Quran me Allah Ho Akbar ka tasawwur kis tarah aya hai? Quran Me Allah Ho Akbar Ka Mafhoom Quran me lafz "Akbar" bohot martaba aya hai. Allah Ta'ala farmate hain: "Inna Salata Tanha Anil Fahsha I Wal Munkar, Wa La Zikrullahi Akbar" Tarjuma: "Beshak Namaz behayai aur buri baaton se rokti hai, aur Allah ka zikr sab se bara hai." [Surah Ankabut 29:45] Yahan "Zikrullahi Akbar" se murad yehi hai ke Allah ko Akbar kehna aur usay yaad karna sab se afzal ibadat hai. Allah Ho Akbar Kehne ke 5 Fazail 1. Dil ka sakoon: Allah ka zikr dilon ko itminan deta hai [Surah Raad 13:28] 2. Gunahon ki maghfirat: Jo shakhs 100 baar Allah Ho Akbar kahe uske gunah maaf hote hain 3. Jannat me darja buland hota hai 4. Har kaam me barkat: Kaam shuru karne se pehle Allah Ho Akbar kehna sunnat hai 5. Shaitan door bhagta hai Kab ...