14 AUGUST 1947 Pakistan KI Azadi ka Wakia Islamic country
Pakistan ka matlb kia pak zar zameen (پاکستان کا مطلب کیا لاالہ الا اللہ ) Allah k siwa koi
Mabood nhi . Asal main pakistan ka matlb yahi hai or samjha b yahi jata hai lakin
Mana nhi jata , kia waqai ya wahi pakistan hai . Jis ka khawab Allama muhammad
Iqbal ny dakha or Quaid -E-AZAM muhammad Ali jinnah ny Esy amli jama pahnaya.
Kabi kisi ny ya nhi soucha k pakistan ka matlb tu pak zar zameen hai phr esy ya kun
kaha jata hai pakistan ka mtlb hai .
Allah k siwa koi mabood nhi . kun k ya aik islami
Riyasat hai ya pahla mulk hai jo islam k name py banaya gaya lkn afsoos ki baat ya
hai k es main koi islamic qanoon ka namo nishan nhi . Jahan dunia taraqi ki rah per
Gamzan hain or aj b hum wahin k wahin ruky hain .
Allah ki siwa koi mabood nhi ya aik poetry or aik siyasi nara tha jo 1943 main
Asghar Sudai ny waziya kia tha . Ya nara muslim leauge k liya aik jangi faryad or
islam ban gaya . Jo janobi asia k muslims k liya aik azad mulak k
liya jadu jahad kar rahi the . Jab dosari jang e azeem khatam hoi tu
ko be zahir karta hai . Majoda door main pakistan ki siyasat daan apny jalson main istamal
krty hain jis sy inka koi taluq nhi .
Ya quam tareekhy pakistan k natija main wajood main ai . jis ma maqsad taqseem k zriya
Bartanvi hind k shumaal magrib alakon main aik azaad muslim riyasat ki tashkeel krna hai .
Es tareekh ki qiyadat All india muslim leauge ny muhammad ali jinnah ki qiyadat main ki .
Ya waqia azadi act 1947 ki roshani main samny aya . Jis k tahat bartanvi raaj domanan
of pakistan ko azaadi di .
Jis main majooda pakistan masharaqi pakistan or bangladash shamil thy . Es saal azadi ka
din islamic calander 27 Ramzan k sth tha . jis ki sham in 5 raton main sy aik jis main koi be
raat lailatu qadar ho skti hai . Ya raatain muslims k liya muqaddas samjhi jati hain .
Youm e azadi ki magrabi taqreeb islamabad main hui .jahan sidarti or parlimat ki amarton
per pakistan ka parcam lahraya gaya .
Es ka baad qomi tarana or quaideen k live radio taqreer hoti hain . Es din ki Aam takreebat
jhanda outhany ki taqreebat prade , saqafti taqreebat , or hub ul watan k geet bajana shamil
hain. Es din aksar award ki taqreeb munaqid ki jati hai . or pakistan apny gharon main qomi
parcham lahraty hain .
KYUN BANA PAKISTAN? - 3 BARI WAJOOHAAT :
Quaid E Azam ny kaha muslim or hindu du alag quam hain . In ka rehan sehan
souchany ka nazriya or tahwaar aik dosry sy mukhtalif hain . aik
mulk main rah kar humara nazam kharab ho jay ga khatam ho jay ga.
Islamic Nizam Ka Khawab :
Quaid e Azam 11 august on 1947 ki taqreere ,
"Ap azaad hain ap apny mandiron main ja skty hain . Masjidon main
ja skty hain . Pakistan main koi mazhab riyasat ka mazhab nhi ho ga
Lkn bunyad islam hi rahy ge "
Oun ka khawab tha pakistan ka mtlb kia laaila illalah .
Musalmanon Par Zulam :
1937 sy 1947 tak congress hakumatoon main muslims py pabandiyan
Masjid main azaan per pabandi , urdu khatam ki gai es liya alag
wattan zaroori ho gaya .
QURBANIYON KA WAQIA - HIJRAT 1947
14 august sy jo pahly howa or baad main huwa wo hijrat ka sab sy
bara din tha .
15 lakhoon k nazdeek lashain ain ya lo azadi .
Maoon ny dodh peety bachy nadi main phank diya taky dushman
hath na lagain . Hazaron orton ny apni izat bachany k liya kuoon
chalang laga di . Ya sab es liya howa k agli nasal Allah ho akbar kah
kr azadi ki saans ly saky .
14 AUGUST KI RAAT KYA HUA?
11:57 pm - 14 August 1947
British flag outara pakistan ka flag lahraya gaya .
Radio per quaid e azam ka flag , "Pakistan ka zahoor ho chuka hai "
ab humain esy islami falahi riyasat banana hai .
india Azaad Howa taky dunia ya jany pakistan pahly azaad howa .
Quaid e azam , Hum ny pakistan es liya banaya taky hum islam
k mutabik apni zindage guzar sakain .
KHATMA + DUA :
Lakhon logon ny apni jan ka nazrana paish kia k hum apny kam ki
shorowaat bismillah parh k kar sakin or Allah ho Akbar ka nara buld
kar sakain . janeya 1947 main pakistan kun bana ya quaid e azam ka
khawab tha . or pakistan ka islamic pakistan k bary main konsa
khawab tha .Mukamal waqia quran ki roshani main .
"Comment karein: Aap ke nazdeek Pakistan ka maqsad kya hai?"
MASHLLAH
ReplyDeleteNICE BHAI
ReplyDeletethanks bhai jan
ReplyDelete