14 AUGUST 1947 Pakistan KI Azadi ka Wakia Islamic country


 Pakistan ka matlb kia pak zar zameen  (پاکستان کا مطلب کیا لاالہ الا اللہ ) Allah k siwa koi 

Mabood nhi . Asal main pakistan ka matlb yahi hai or samjha b yahi jata hai lakin 

Mana nhi jata , kia waqai ya wahi pakistan hai . Jis ka khawab Allama muhammad 

Iqbal ny dakha or Quaid -E-AZAM muhammad Ali jinnah ny Esy amli jama pahnaya.

Kabi kisi ny ya nhi soucha k pakistan ka matlb tu pak zar zameen hai phr esy ya kun

kaha jata hai pakistan ka mtlb hai . 

Allah k siwa koi mabood nhi . kun k ya aik islami

Riyasat hai ya pahla mulk hai jo islam k name py banaya gaya lkn afsoos ki baat ya 

hai k es main koi islamic qanoon ka namo nishan nhi . Jahan dunia taraqi ki rah per

Gamzan hain or aj b hum wahin k wahin ruky hain . 

Allah ki siwa koi mabood nhi ya aik poetry or aik siyasi nara tha jo 1943 main

 Asghar Sudai ny waziya kia tha . Ya nara muslim leauge k liya aik jangi faryad or

 islam ban gaya . Jo janobi asia k muslims k liya aik azad mulak k

 liya jadu jahad kar rahi the . Jab dosari jang e azeem khatam hoi tu 

pakistan ki azadi ki tareekh shoro hoi . Na naira pakistan ki tashkhees

 ko be zahir karta hai . Majoda door main pakistan ki siyasat daan apny jalson main istamal

 krty hain jis sy inka koi taluq nhi .

Ya quam tareekhy pakistan k natija main wajood main ai . jis ma maqsad taqseem k zriya 

Bartanvi hind k shumaal magrib alakon main aik azaad muslim riyasat ki tashkeel krna hai .

Es tareekh ki qiyadat All india muslim leauge ny muhammad ali jinnah  ki qiyadat main ki .

Ya waqia  azadi act 1947 ki roshani main samny aya . Jis k tahat bartanvi raaj domanan 

of pakistan ko azaadi di .

Jis main majooda pakistan masharaqi pakistan or bangladash shamil thy . Es saal azadi ka 

din islamic calander 27 Ramzan k sth tha . jis ki sham in 5 raton main sy aik jis main koi be

raat lailatu qadar ho skti hai . Ya raatain muslims k liya muqaddas samjhi jati hain . 

Youm e azadi ki magrabi taqreeb islamabad main hui .jahan sidarti or parlimat ki amarton 

per pakistan ka parcam lahraya gaya .

Es ka baad qomi tarana or quaideen k live radio taqreer hoti hain . Es din ki Aam takreebat 

jhanda outhany ki taqreebat prade , saqafti taqreebat , or hub ul watan k geet bajana shamil 

hain. Es din aksar award ki taqreeb munaqid ki jati hai . or pakistan apny gharon main qomi

parcham lahraty hain . 

KYUN BANA PAKISTAN? - 3 BARI WAJOOHAAT :

Quaid E Azam ny kaha muslim or hindu du alag quam hain . In ka rehan sehan 

souchany ka nazriya or tahwaar aik dosry sy mukhtalif hain . aik 

mulk main rah kar humara nazam kharab ho jay ga khatam ho jay ga.

Islamic Nizam Ka Khawab : 

Quaid e Azam 11 august on 1947 ki taqreere ,

"Ap azaad hain ap apny mandiron main ja skty hain . Masjidon main 

ja skty hain . Pakistan main koi mazhab riyasat ka mazhab nhi ho ga 

Lkn bunyad islam hi rahy ge "

Oun ka khawab tha pakistan ka mtlb kia laaila illalah .

Musalmanon Par Zulam :

1937 sy 1947 tak congress hakumatoon main muslims py pabandiyan

Masjid main azaan per pabandi , urdu khatam ki gai es liya alag 

wattan zaroori ho gaya . 

QURBANIYON KA WAQIA - HIJRAT 1947

14 august sy jo pahly howa or baad main huwa wo hijrat ka sab sy 

bara din tha .
 
15 lakhoon k nazdeek lashain ain ya lo azadi . 

Maoon ny dodh peety bachy nadi main phank diya taky dushman 

hath na lagain . Hazaron orton ny apni izat bachany k liya kuoon 

chalang laga di . Ya sab es liya howa k agli nasal Allah ho akbar kah 

kr azadi ki saans ly saky . 

14 AUGUST KI RAAT KYA HUA?

11:57 pm - 14 August 1947 

British flag outara pakistan ka flag lahraya gaya . 

Radio per quaid e azam ka flag , "Pakistan ka zahoor ho chuka hai "

ab humain esy islami falahi riyasat banana  hai .

india Azaad Howa taky dunia ya jany pakistan pahly azaad howa . 

Quaid e azam , Hum ny pakistan es liya banaya taky hum islam 

k mutabik apni zindage guzar sakain . 

KHATMA + DUA :

Lakhon logon ny apni jan ka nazrana paish kia k hum apny kam ki 

shorowaat bismillah parh k kar sakin or Allah ho Akbar ka nara buld

kar sakain . janeya 1947 main pakistan kun bana ya quaid e azam ka

khawab tha . or pakistan ka islamic pakistan k bary main konsa 

khawab tha .Mukamal waqia quran ki roshani main . 



"Comment karein: Aap ke nazdeek Pakistan ka maqsad kya hai?"




















Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Shirk ki 10 aam ghaltiyan jo hum roz karte hain

Hazrat Ibrahim A.S Ka Waqia Quran ,Hadees , Or Shia Kutab ki Roshani Main

HAZRAT ALI A.S BEAUTIFUL QUOTES AUR AKWAL