KALA JADDU KA ILAJ - QURAN OR HADEES KI ROSHNI MEIN
﷽
Sb pahly Yad rakhain k jaddu bar haq hai .
Surat baqarah 102 : " Wo Allah kay Hukam k begair kisi ko nuqsan nhi pouncha
sakty "
QURAN OR HADEES SE SABIT ILAJ - 7 STEP ROOHANI ILAJ
Dil sy ALLAH py emaan rakhna . 5 waqat ki namaz parhana . or apny gunahon ki toba
mangana. Hadees main hai jis ny Allah ko apna wali bana lia ousy koi nuqsan nhi
poncha sakta .
ROZANA KE AZKAR - "HIFAZAT KA QILA"
AYTUL Kursi subha sham parhain surat baqarah 255 -1 martaba .
Surat ikhlas , surat falaq , surat naas , 3 martaba .
Last 2 ayat surat baqra amanar rasool say , 1 martaba
Bismillah subha sham parhain
RUQYAH - DAM WALA PAANI
Saf pani ki botal layn ous main 7 martaba aytal kursi 3 kull or surat falak ki
akhri 2 ayat parh dum krain . Rozana es pani ko piyan or es sy gusal krain
7 din tk .
SURAH BAQARAH GHAR MEIN
Jis ghar main surat baqarah parhi jay wahan sheetan nhi ata . Rozana surat
baqarah ki tilawat ki jay ya audio chala k sun li jay .
KHAJOOR OR KALONJI
Ajwa khajoor subha k time 7 khain ous din jadu sy mahfooz
1 chamach kalonji ka tail shahad main mila kr piyan .
SADQA DENA
Chup kr k sadqa dyn bala ko talta hai ,sadqa bala ko door krta hai .
SABAR OR DUA
Hasbu nallahi wa namal wakeel -100 martaba rozana
Tahajjat main outh kar ALLAH sy madad mangain
NISHANIYAN - KAISE PATA CHALE GA KE ASAR KAM HO RAHA HAI
Niend bahter ho jana
Dil ka halka ho jana
Ghar main larai jhagra kam hona
khwab main bahtri
ya asar 7 ,21 , ya 40 din main nazar atta hai juld bazi na karain .
3 AHAAM BAATEIN - ZAHAR BACHEN
Jadugar k pass na jain hadees main hai jo jadugar k pass gaya ous ki 40 din
tk koi namaz qabool nhi ho ge .
Taweez wala amal na krain sirf quran ki madad sy rohani ilaj jaiz hai
Agr masla zyada hai tu kisi mutabar alam sy raju krain .
Rasool Allah ﷺ ny farmaya : 7 halak krny wali cheezon sy bacho ous main jaddu
B hai sahi bukhari hadees no 2766
Jaddu krny wala or krwany wala dono jahanmi hain .
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jo koi shaks jaddu krny wala k pass kia ya ous k ilam
ki tasdeeq ki tu goya ous ny ap ﷺ py nazil hony waly deen ka inqar kia .
Agr humari kisi maa behan ko kala jaddu ka nazar ka ya kisi qism ka
masla hai comment main batain ous ka hal kia jay ga
follow or subcribe kr lyn taky aisi maloomat apko milti rahy .
Jazakallah ....
Comments
Post a Comment