Hazrat Yunus A.S Ka Waqia - Machhli Wala
بِسْمِ ٱللّٰهِ ٱلرَّحْمٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Hazrat Younas A.S KO ALLAH ny nainwa Sehar ki Taraf bhaja. Wo 3 Saal tk logon
ko samjhaty rahy lkn log emaan na laya . Ek din wo naraz ho kar Allah ki ijazat K bagair
shehar Chour kar chaly gay .
Toofan, Qura Andazi aur Samandar Mein Phainkna
Rasty main kashti main tofan agaya . kura andazi hoi tu 3 bar
Hazrat Younas A.S ka name nikla . Qunoon k mutabik Hazrat younas
A.S ko sumanadar main phank dia gaya . Allah k hukam sy aik bari
Machali agai Or onhy foran nigal lia .
Andheron Mein Dua - "Dua-e-Yunus"
Machali k pait main 3 andhairy Thy .
Sumandar ka andhera
Raat ka andhera
Machali k Pait ka andhera
Wahan hazrat younas A.S ny dua mangi .
لَّا إِلَٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
Quran "Aya Allah Tera koi mabood nhi tu pak hai main hi
Zalimoo main sy hn "
Allah Ka Hukum Aur Kinare Par Nikalna
Allah ny machali ko hukam dia machali ny onhy sumandar k aik
veeran jazeray main daal dia . Wo beemar or kamzoor thy Allah
ny oun k liya kaddu ka poda uga dia taa k aya or khana mily .
Wapis Qoum Ke Paas Jana aur 1 Lakh Logon Ka Imaan
Jab sehat yaab howy Tu Allah ny dobara Hukam dia . Wo wapis
nainwa gay. Es baar pori quoom Aik lakh sy zyada emaan ly aya.
Allah pak ny farmaya agr younas humain aisy na pokarty tu
tb machali k pait sy nikaly jaty jb mordy qabroon sy nikaly jain gy .
Hadees termizi :
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Comments
Post a Comment