Hazrat Maryam A.S Ka Waqia Quran Or Sahi Hadees Sy
Hazrat Maryam A.S ALLAH ki oun naik bandiyon main sy hai jin ka ziker quran main sb sy zyada aya
Hai . Oun ki zindage sabar haya tawaqul or Allah per bharosa ki misaal hai . Aj hum quran or sahi hadees
ki roshani main unka waqia dakhain gy .
Hazrat maryam k walid ka name HAZRAT IMRAN A.S tha . Oun ki walda ny manat mangi jo b bacha
paida howa ous deen ki khidmat k liya wakaf kr dayn ge .
Jab imran ki biwi ny kaha aya mery rab jo kuch mery pait main hai ous ko main ny tari nazar kia . Phr jab
ousy jana tu kaha aya mery rab ya tu larki hai .
Allah ny oun ki dua qabool ki or maryam A.s ko paida kia . Oun ki kifalat ka zimma hazrat zikrya A.s ko
Mila .
Quran : Hazrat zikriya Hazrat maryam A.S k bahnoi thy . Hazrat maryam k walid ka name imran tha .
HAZRAT MARYAM A.S abi chand saal ki hi the inki walda ka intaqaal ho gaya . Ya Allah ki inayat hai
jo ous ny apny bandy zikrya per ki the . Jab onho ny apny rab ko dabi awaz sy pokara . or kaha k aya mery
Parwar digar meri hadi borhapy k sabab kamzoor ho gai hai . or sir hai k borhapy ki waja sy shola marny
Laga hai . Aya mery parwar digar main tujh sy mang kr b mahroom nhi raha .
Or main apny baad apny bhai bandon sy darta hon . or mri biwi banjh hai tu mujhy apny pass sy waris
atta Farma jo mri or oulad yaqoob ki miraz ka malik ho . Aya mery parwar digar es ko khush ikhlaq
banaiyo . Aya zikrya hum tumhy aik larki ki bisharat daty hain jis ka name yahya hai . Es sy pahly
hum ny es name ka koi larka paida nhi kia . onho ny kaha aya mery Allah mery haan kaisy larka paida
ho ga main borhapy ko hn or mri biwi banjh hai .
Hukam howa k esi tarha ho ga .Tmhry parwar diar ny farmaya esi tarha ho ga , ya mujhy asaan hai or
main pahly tum ko b tu paida kar chuka hn or tum kuch cheez na thy . kaha k parwar digar mery liya
koi nishani muqarar kar . Hukam howa k nishani ya hai k tum 3 raat din kisi sy baat na kar sako gy .
Phr wo ibadat k hujray sy nikal k apni quam k pass gay . onho ny ishary sy kaha subha sham khuda ko
yad krty raho .
Aya yahya humri kitab ko zoor sy pakry raho phr hum ny ousy danai atta farmai . or apny pass shafaqat
or pakeezagi di the , or wo parhaiz gar thy . or Maa baap k sth naki krny waly thy or apny maa baap k
farmabardar thy . or jis din wo paida howy orjis din wafat pain gy or jis din zinda outhy jain gy . oun k
liya salam or rehmat hai .
Kitab main maryam ka b ziker kro jab wo apny logon sy alag ho kr mashriq ki traf chali gain.Tu onho
ny in ki taraf sy parda kr liya . Ous wkt hum ny oun ki traf aik frishta bhaja . tu oun k samny thk admi
ki shakal ban gaya . Maryam boli agr tum parhaz gar ho tu main tum sy khuda ki panah mangti hn.
Onho ny kaha k main tery rab ki taraf sy bhaja howa aik frishta hn . Es liya aya hn k tumhy aik pakeeza
larky ki bisharat don . Maryam ny kaha mery haan larka kun kar ho ga na mujhy kisi insan ny hath
lagaya or na main bd qirdar hn .
Frishty ny kaha youn hi hoga ,tmhry parwar digar ny farmaya k ya mujhy asaan hai . or main esy esi
Tarhan paida kro ga . taky es ko lagon k liya aoni taraf sy nishani , rehmat or maharbani banaon , or
Ya kam muqarar kar chuka hn . Tu wo es bacha k sath hamla ho gai , or esy ly kar aik door jaga chali
gain , phr dard zada oun ko khajoor k tany k pass ly aya , orkahny lagi aya kash main es sy pahly mar
chuki hoti .
Es wakat in k nitchy ki janab sy frishty ny inhy awaz di k gum naak na ho , tumhry parwar digar ny
tumhy nitchy aik chashma jari kar dia hai . or khajoor k tany ko pakar k apni taraf hilao , tum per taza
taza khajoorain jharap prain ge . khao piyo or ankhain thandi kro . agr tum kisi admi ko dakho tu kahna
k main ny khuda k liya roza ki manat mani tu aj main kisi admi sy hargiz kalam nhi kro ge .
Phr wo es bachy ko outha kr apni quam k pass ly ai , phr kahny lagy maryam ya tum ny bura kaam kia.
Aya haroon ki behan na tera baap aisa tha or na tari maa bd kardar the . Tu maryam ny es bachy ki trf
ishara kia k wo boly k hum es sy k good ka bacha hai kun kar baat krain .
Bachy ny kaha main khuda ka banda hon es ny mujhy kitab di hai or mujhy nabi bana kar bhaja hai .
ormain jahan hon or jis haal main hon , mujhy sahib barkat kia hai , or main jab tk zinda hon mujhy
namaz or zakat ka hukam dia hai , or mujhy apni maa k sth naik salook karny wala banaya hai . or
sarkash bad bakht nhi banaya hai .
Tuheed :
Jis din main paida howa jis din maron ga or jis din dobara outhaya jao ga muj per salam or rehmat hai .
Ya maryam k baty esa hain ya suchi baat hai jis main log shak karty hain .
khuda ko ya gawara nhi kisi ko beta banaya , wo pak hai jb kisi cheez ka irada karta hai tu yahi kahta
hai ho ja tu wo ho jati hai .
Yahi khuda hi mera or tmhara parwar digar hai . esi ki ibadat kro . yahi sidha rasta hai .
Hazrat maryam A.S OR ISA A.S :
Allah quran main esiyon sy farmata hai k Allah ko choud ko aison ko ponjaty ho jo paida kiya gy
jo khana khany k mohtaj thy , Agr ALLAH chahy esa or ous ki maa ko halak krny ka tu kon hai
jo ousy rook saky . Wo tumhri tarhan k bandy hain lkn Allah k chuny howy .
Sahih Hadees:
Comments
Post a Comment