Hazrat Maryam A.S Ka Waqia Quran Or Sahi Hadees Sy
Hazrat Maryam A.S ALLAH ki oun naik bandiyon main sy hai jin ka ziker quran main sb sy zyada aya Hai . Oun ki zindage sabar haya tawaqul or Allah per bharosa ki misaal hai . Aj hum quran or sahi hadees ki roshani main unka waqia dakhain gy . Hazrat maryam k walid ka name HAZRAT IMRAN A.S tha . Oun ki walda ny manat mangi jo b bacha paida howa ous deen ki khidmat k liya wakaf kr dayn ge . Jab imran ki biwi ny kaha aya mery rab jo kuch mery pait main hai ous ko main ny tari nazar kia . Phr jab ousy jana tu kaha aya mery rab ya tu larki hai . Allah ny oun ki dua qabool ki or maryam A.s ko paida kia . Oun ki kifalat ka zimma hazrat zikrya A.s ko Mila . Quran : Hazrat zikriya Hazrat maryam A.S k bahnoi thy . Hazrat maryam k walid ka name imran tha . HAZRAT MARYAM A.S abi chand saal ki hi the inki walda ka intaqaal ho gaya . Ya Allah ki inayat hai jo ous ny apny bandy zikrya per ki the . Jab onho ny apny rab ko dabi awaz sy pokar...